gulshan mein le ke chal kisi sahra mein le ke chal
gulshan meñ le ke chal kisī sahrā meñ le ke chal
ai dil magar sukūn kī duniyā meñ le ke chal
koī to hogā jis ko mirā intizār hai
kahtā hai dil ke shahr-e-tamannā meñ le ke chal
ye pyaas bujh na paa.ī to maiñ Duub jā.ūñgā
sāhil se duur tū mujhe dariyā meñ le ke chal
pahchāntā nahīñ hai mirā naam 'qais' bhī
ai ḳhizr-e-rāh kūcha-e-lailā meñ le ke chal
gulshan mein le ke chal kisi sahra mein le ke chal
ai dil magar sukun ki duniya mein le ke chal
koi to hoga jis ko mera intizar hai
kahta hai dil ke shahr-e-tamanna mein le ke chal
ye pyas bujh na pai to main Dub jaunga
sahil se dur tu mujhe dariya mein le ke chal
pahchanta nahin hai mera nam 'qais' bhi
ai KHizr-e-rah kucha-e-laila mein le ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.