gulshan mein tere husn ki jab baat chali hai
gulshan mein tere husn ki jab baat chali hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
gulshan meñ tire husn kī jab baat chalī hai
Thahrī hai nazar gul pe na ġhunche pe rukī hai
rakhtī hai jigar garche vo nāzuk sī kalī hai
tūfānoñ se khelī hai vo kāñToñ meñ palī hai
jo lab pe na aa paa.ī vo āñkhoñ ne kahī hai
āñkheñ bhī na kah pā.īñ jo vo dil ne sunī hai
aa kar tire dar par mujhe ehsās huā ye
bhaTkī huī kashtī mirī sāhil se lagī hai
kitne hī chaman ujḌe hue ḳhaak nasheman
kyā vaqt kī āñkhoñ meñ kabhī aa.ī namī hai
ek buuñd ko tarsā koī hai pī ke koī mast
maiḳhāne kā saaqī abhī andāz vahī hai
dekhā hai 'habīb' us ne jo ek baar karam se
har shai mujhe ab pyaar se hī dekh rahī hai
gulshan mein tere husn ki jab baat chali hai
Thahri hai nazar gul pe na ghunche pe ruki hai
rakhti hai jigar garche wo nazuk si kali hai
tufanon se kheli hai wo kanTon mein pali hai
jo lab pe na aa pai wo aankhon ne kahi hai
aankhen bhi na kah pain jo wo dil ne suni hai
aa kar tere dar par mujhe ehsas hua ye
bhaTki hui kashti meri sahil se lagi hai
kitne hi chaman ujDe hue KHak nasheman
kya waqt ki aankhon mein kabhi aai nami hai
ek bund ko tarsa koi hai pi ke koi mast
maiKHane ka saqi abhi andaz wahi hai
dekha hai 'habib' us ne jo ek bar karam se
har shai mujhe ab pyar se hi dekh rahi hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 51)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.