gulshan mein ye kamal tujhe dekh kar hua
gulshan meñ ye kamāl tujhe dekh kar huā
phūloñ kā rañg laal tujhe dekh kar huā
muddat ke ba.ad aaj mile haiñ to jān-e-man
dil ko bahut malāl tujhe dekh kar huā
aao ham aaj chāñd kā qarzā utaar deñ
tāroñ ko ye ḳhayāl tujhe dekh kar huā
ḳhushbū se kis zabān meñ bāteñ kareñge log
mahfil meñ ye savāl tujhe dekh kar huā
ashkoñ se jab likheñge ġhazal tab sunā.eñge
is dil kā jo bhī haal tujhe dekh kar huā
gulshan mein ye kamal tujhe dekh kar hua
phulon ka rang lal tujhe dekh kar hua
muddat ke baad aaj mile hain to jaan-e-man
dil ko bahut malal tujhe dekh kar hua
aao hum aaj chand ka qarza utar den
taron ko ye KHayal tujhe dekh kar hua
KHushbu se kis zaban mein baaten karenge log
mahfil mein ye sawal tujhe dekh kar hua
ashkon se jab likhenge ghazal tab sunaenge
is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
- Book : Kashmakash (Pg. 112)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.