gulsitan viran dekha
gulsitāñ vīrān dekhā
dasht-e-pur-imkān dekhā
jab bhī jhāñkā shahr-e-dil meñ
ye nagar sunsān dekhā
us ko pā kar yuuñ lagā hai
ik kharā insān dekhā
khan-khanāhaT kī dhunoñ par
nāchtā īmān dekhā
phūñk kar tahrīr us kī
pahroñ ātish-dān dekhā
thā vahī dil kā ġhanī jo
be-sar-o-sāmān dekhā
gulsitan viran dekha
dasht-e-pur-imkan dekha
jab bhi jhanka shahr-e-dil mein
ye nagar sunsan dekha
us ko pa kar yun laga hai
ek khara insan dekha
khan-khanahaT ki dhunon par
nachta iman dekha
phunk kar tahrir us ki
pahron aatish-dan dekha
tha wahi dil ka ghani jo
be-sar-o-saman dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.