gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad
Interesting Fact
February 1981
gum dhuñdlakoñ meñ huī rāhguzar tere ba.ad
ruk gayā jaise sitāroñ kā safar tere ba.ad
tāb-e-nazzāra kahāñ thī tirī jalvat meñ hameñ
DhūñDhtī hai tirī sūrat ko nazar tere ba.ad
dekhte dekhte andāz-e-gulistāñ badlā
phuul the phuul shajar the na shajar tere ba.ad
yuuñ to dekhe the bahut ruup jahāñ ke ham ne
vo bhī ik ruup thā jo aayā nazar tere ba.ad
aarzū le ke tirī chal to paḌe the ghar se
ab ye mushkil hai ki ham jaa.eñ kidhar tere ba.ad
fan ko suulī pe chaḌhāyā gayā fankār ke saath
qarya qarya bikī nāmūs-e-hunar tere ba.ad
kis qadar thā rag-e-jāñ meñ tū hamārī paivast
is haqīqat kī huī ham ko ḳhabar tere ba.ad
hai ye zulmat hī muqaddar to pukāreñ kis ko
kis se ma.alūm kareñ apnī ḳhabar tere ba.ad
yuuñ farāġhat hai har ik kaam se ham ko jaise
ḳhatm hai silsila-e-shām-o-sahar tere ba.ad
raunaqeñ tujh se thiiñ saarī so tire saath ga.iiñ
shahar kā shahar huā ek khañDar tere ba.ad
kaash ho saktā kisī tarah tujhe bhī ma.alūm
haal 'iqbāl' kā hai kitnā digar tere ba.ad
gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad
ruk gaya jaise sitaron ka safar tere baad
tab-e-nazzara kahan thi teri jalwat mein hamein
DhunDhti hai teri surat ko nazar tere baad
dekhte dekhte andaz-e-gulistan badla
phul the phul shajar the na shajar tere baad
yun to dekhe the bahut rup jahan ke hum ne
wo bhi ek rup tha jo aaya nazar tere baad
aarzu le ke teri chal to paDe the ghar se
ab ye mushkil hai ki hum jaen kidhar tere baad
fan ko suli pe chaDhaya gaya fankar ke sath
qarya qarya biki namus-e-hunar tere baad
kis qadar tha rag-e-jaan mein tu hamari paiwast
is haqiqat ki hui hum ko KHabar tere baad
hai ye zulmat hi muqaddar to pukaren kis ko
kis se malum karen apni KHabar tere baad
yun faraghat hai har ek kaam se hum ko jaise
KHatm hai silsila-e-sham-o-sahar tere baad
raunaqen tujh se thin sari so tere sath gain
shahar ka shahar hua ek khanDar tere baad
kash ho sakta kisi tarah tujhe bhi malum
haal 'iqbaal' ka hai kitna digar tere baad
- Book : Shahar-e-be navaa (Pg. 143)
- Author : Iqbaal Haidari
- Publication : E I Publications (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.