guman ke raKHsh-e-subuk ki ayal thame hue
gumāñ ke raḳhsh-e-subuk kī ayaal thāme hue
bhaTak rahā huuñ junūñ meñ ḳhayāl thāme hue
baqā kī jañg meñ ḳhud se falak se duniyā se
maiñ laḌ rahā huuñ tamannā kī Dhaal thāme hue
vo kashmakash bhī shanāsā.iyoñ kī kyā hogī
mileñge ḳhud se jab apne sifāl thāme hue
har ek pal koī bār-e-garāñ sā lagtā hai
ki jaise lamha guzārtā huuñ saal thāme hue
sarosh-e-ġhaib ke ma.abad ke sāmne masjūd
sabhī javāb haiñ gum-sum savāl thāme hue
maiñ zer-e-mauj-e-balā sirf itnā dekh sakā
za.iif haath purānā sā jaal thāme hue
zamīn-e-chashm kī andhī amiiq tah meñ kahīñ
ġhusīl ḳhvāb haiñ 'āsim' kudāl thāme hue
guman ke raKHsh-e-subuk ki ayal thame hue
bhaTak raha hun junun mein KHayal thame hue
baqa ki jang mein KHud se falak se duniya se
main laD raha hun tamanna ki Dhaal thame hue
wo kashmakash bhi shanasaiyon ki kya hogi
milenge KHud se jab apne sifal thame hue
har ek pal koi bar-e-garan sa lagta hai
ki jaise lamha guzarta hun sal thame hue
sarosh-e-ghaib ke mabad ke samne masjud
sabhi jawab hain gum-sum sawal thame hue
main zer-e-mauj-e-bala sirf itna dekh saka
zaif hath purana sa jal thame hue
zamin-e-chashm ki andhi amiq tah mein kahin
ghusil KHwab hain 'asim' kudal thame hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.