guman paDta yahi hai ki rahbari hui hai
gumān paḌtā yahī hai ki rahbarī huī hai
ye apnī raah kisī raah se juḌī huī hai
hazār abr-e-mohabbat yahāñ baras bhī chuke
bas ek shāḳh-e-tamannā nahīñ harī huī hai
milī thī ham ko ḳhudā se bahisht ke badle
magar ye zindagī me.aar se girī huī hai
ufuq pe phailā huā hai firāq-e-yār kā rañg
udaas shaam mirī god meñ paḌī huī hai
uThā le haath mire chāragar ki is dil meñ
salīb-e-hasrat-e-ġham mustaqil gaḌī huī hai
guman paDta yahi hai ki rahbari hui hai
ye apni rah kisi rah se juDi hui hai
hazar abr-e-mohabbat yahan baras bhi chuke
bas ek shaKH-e-tamanna nahin hari hui hai
mili thi hum ko KHuda se bahisht ke badle
magar ye zindagi mear se giri hui hai
ufuq pe phaila hua hai firaq-e-yar ka rang
udas sham meri god mein paDi hui hai
uTha le hath mere chaaragar ki is dil mein
salib-e-hasrat-e-gham mustaqil gaDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.