guman se koi kab ka ja chuka hai
gumāñ se koī kab kā jā chukā hai
magar raḳht-e-safar bikhrā paḌā hai
tire āñgan meñ Dholak baj rahī hai
mirā hairat-kada vīrāñ huā hai
mire vijdān kī dul.han kahāñ hai
ye kangan bāzuoñ se pūchhtā hai
laboñ kī tishnagī gar maiñ miTā.ūñ
to dariyā kā kināra TūTtā hai
mirī ḳhalvat kā añdhiyārā o jānāñ
tirī chāhat kā jugnū DhūñDhtā hai
tirī paa.el kā ghuñgrū ab bhī aksar
mire ḳhvāboñ meñ aa kar gūñjtā hai
guman se koi kab ka ja chuka hai
magar raKHt-e-safar bikhra paDa hai
tere aangan mein Dholak baj rahi hai
mera hairat-kada viran hua hai
mere wijdan ki dulhan kahan hai
ye kangan bazuon se puchhta hai
labon ki tishnagi gar main miTaun
to dariya ka kinara TuTta hai
meri KHalwat ka andhiyara o jaanan
teri chahat ka jugnu DhunDhta hai
teri pael ka ghungru ab bhi aksar
mere KHwabon mein aa kar gunjta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.