Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar

Riyaz Khairabadi

gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    gumbad-e-madfan hai hai āsmāñ bālā-e-sar

    ye makīñ rakhte haiñ sab apne makāñ bālā-e-sar

    yuuñ liye hoñ hashr meñ bār-e-garāñ bālā-e-sar

    dosh par ḳhum hai gunah gaThriyāñ bālā-e-sar

    chhoTī kashtī banā hai āsmāñ bālā-e-sar

    sail-e-ashk is tarah chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bālā-e-sar

    zer-e-masjid mai-kada maiñ mai-kade meñ mast-e-ḳhvāb

    chauñk uTThā jab mo.azzin ne azaañ bālā-e-sar

    ham haiñ so.e sāya-e-gul meñ nahīñ itnā ḳhayāl

    ai 'anādil is tarah shor-e-fuġhāñ bālā-e-sar

    naḳhl-e-gul tarah dīvānoñ se bhī mānūs haiñ

    lete haiñ bulbul jagah ai bāġhbāñ bālā-e-sar

    ye nirālī terī ḳhilqat sham' us par husn bhī

    ham ne dekhī ek terī zabāñ bālā-e-sar

    ḳhush kiyā yuuñ baaġh meñ kar mujhe sayyād ne

    shāḳh ke nīche qafas hai āshiyāñ bālā-e-sar

    bechte phirte haiñ mai ham is tarah raste galī

    jā-e-ḳhum chhoTī hai mai dukāñ bālā-e-sar

    rahm kar mālik ki maiñ do do farishte bhī lade

    aur phir 'isyāñ bhī bār-e-garāñ bālā-e-sar

    pīchhe pīchhe kārvāñ ke ham thake-māñde haiñ yuuñ

    paañv meñ chhāle haiñ gard-e-kārvāñ bālā-e-sar

    paañv ke nīche se niklī jaatī hai yārab zamīñ

    khā rahe haiñ chakkar itne āsmāñ bālā-e-sar

    maiñ vo huuñ mahshar ke pyāsoñ ko pilā.ūñ to sahī

    hauz-e-kausar hogā ai pīr-e-muġhāñ bālā-e-sar

    ātish-e-rañg-e-hinā-o-zulf-e-pechāñ dekhiye

    aag talvoñ meñ lagī niklā dhuāñ bālā-e-sar

    lene jaatā hai haram se kyā kahīñ tum ko 'riyāz'

    taaq par rakkhī hai botal mehrbāñ bālā-e-sar

    gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar

    ye makin rakhte hain sab apne makan baala-e-sar

    yun liye hon hashr mein bar-e-garan baala-e-sar

    dosh par KHum hai gunah ki gaThriyan baala-e-sar

    chhoTi si kashti bana hai aasman baala-e-sar

    sail-e-ashk is tarah chashm-e-KHun-fishan baala-e-sar

    zer-e-masjid mai-kada main mai-kade mein mast-e-KHwab

    chaunk uTTha jab di moazzin ne azan baala-e-sar

    hum hain soe saya-e-gul mein nahin itna KHayal

    ai 'anadil is tarah shor-e-fughan baala-e-sar

    naKHl-e-gul ki tarah diwanon se bhi manus hain

    lete hain bulbul jagah ai baghban baala-e-sar

    ye nirali teri KHilqat sham' us par husn bhi

    hum ne dekhi ek teri hi zaban baala-e-sar

    KHush kiya yun bagh mein la kar mujhe sayyaad ne

    shaKH ke niche qafas hai aashiyan baala-e-sar

    bechte phirte hain mai hum is tarah raste gali

    ja-e-KHum chhoTi si hai mai ki dukan baala-e-sar

    rahm kar malik ki main do do farishte bhi lade

    aur phir 'isyan ka bhi bar-e-garan baala-e-sar

    pichhe pichhe karwan ke hum thake-mande hain yun

    panw mein chhaale hain gard-e-karwan baala-e-sar

    panw ke niche se nikli jati hai yarab zamin

    kha rahe hain chakkar itne aasman baala-e-sar

    main wo hun mahshar ke pyason ko pilaun to sahi

    hauz-e-kausar hoga ai pir-e-mughan baala-e-sar

    aatish-e-rang-e-hina-o-zulf-e-pechan dekhiye

    aag talwon mein lagi nikla dhuan baala-e-sar

    lene jata hai haram se kya kahin tum ko 'riyaz'

    taq par rakkhi hai botal mehrban baala-e-sar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now