gumrahi mein nae rabte mil gae
gumrahī meñ na.e rābte mil ga.e
raah bhaTke hue qāfile mil ga.e
merī tanhā-ravī kā bharam miT gayā
ham-safar rāstoñ meñ na.e mil ga.e
jaane vaale isī moḌ par ek din
phir mileñge agar rāste mil ga.e
maiñ tire aur nazdīk aa jā.ūñgā
qurbatoñ meñ agar fāsle mil ga.e
terī tasvīr album se gum thī magar
ḳhat ka.ī tere likhe hue mil ga.e
jaane kyā baat thī aaj pardes meñ
ajnabī ajnabī se gale mil ga.e
aaj phir raat kī aañkh nam ho ga.ī
phir se ham ḳhvāb ko jāgte mil ga.e
gumrahi mein nae rabte mil gae
rah bhaTke hue qafile mil gae
meri tanha-rawi ka bharam miT gaya
ham-safar raston mein nae mil gae
jaane wale isi moD par ek din
phir milenge agar raste mil gae
main tere aur nazdik aa jaunga
qurbaton mein agar fasle mil gae
teri taswir album se gum thi magar
KHat kai tere likhe hue mil gae
jaane kya baat thi aaj pardes mein
ajnabi ajnabi se gale mil gae
aaj phir raat ki aankh nam ho gai
phir se hum KHwab ko jagte mil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.