gunah apne ginata hun Darne lagta hun
gunāh apne ginātā huuñ Darne lagtā huuñ
ḳhudā ke sāmne jaatā huuñ Darne lagtā huuñ
kuchh itnā ḳhaufzada huuñ maiñ apne kamre meñ
koī charāġh jalātā huuñ Darne lagtā huuñ
ab is maqām pe pahuñchī hai merī tanhā.ī
qarīb ḳhud ke bhī jaatā huuñ Darne lagtā huuñ
qarīb dekh ke mujh ko lipaT na jaa.e kahīñ
maiñ us kī bazm meñ jaatā huuñ Darne lagtā huuñ
kahīñ vo jaan na le mere dil kī hālat ko
kisī ko she'r sunātā huuñ Darne lagtā huuñ
gunah apne ginata hun Darne lagta hun
KHuda ke samne jata hun Darne lagta hun
kuchh itna KHaufzada hun main apne kamre mein
koi charagh jalata hun Darne lagta hun
ab is maqam pe pahunchi hai meri tanhai
qarib KHud ke bhi jata hun Darne lagta hun
qarib dekh ke mujh ko lipaT na jae kahin
main us ki bazm mein jata hun Darne lagta hun
kahin wo jaan na le mere dil ki haalat ko
kisi ko she'r sunata hun Darne lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.