Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gunah-e-ishq mein is baat kei taskin hoti hai

Bhawana Srivastava

gunah-e-ishq mein is baat kei taskin hoti hai

Bhawana Srivastava

MORE BYBhawana Srivastava

    gunāh-e-ishq meñ is baat keī taskīn hotī hai

    huā ho jurm gahrā to sazā sañgīn hotī hai

    khule rakhte ho darvāze darīche bārhā tum kyoñ

    suno duniyā tamāshoñ keī baḌī shauqīn hotī hai

    safar meñ dhuup hai to kyā udāsī oḌh loge tum

    mile saa.e jo the un baḌī tauhīn hotī hai

    zarā ro lo kahīñ aañsū agar ye suukh jaa.eñ to

    nahīñ haiñ zaḳhm bharte aur zabāñ namkīn hotī hai

    tumhārā lauT ke aanā hamārī ḳhvāhish-e-bejā

    magar bharte haiñ jab bhī dam dam-e-āmīn hotī hai

    sahārā ban nahīñ paate bhale ḳhud-ġharz kuchh bachche

    musībat ho magar in pe to maañ ġhamgīn hotī hai

    siyāsat aur daulat jab siyāhī sokh lete haiñ

    kisī ke ḳhuun se tasvīr tab rañgīn hotī hai

    gunah-e-ishq mein is baat kei taskin hoti hai

    hua ho jurm gahra to saza sangin hoti hai

    khule rakhte ho darwaze dariche barha tum kyon

    suno duniya tamashon kei baDi shauqin hoti hai

    safar mein dhup hai to kya udasi oDh loge tum

    mile sae jo the un ki baDi tauhin hoti hai

    zara ro lo kahin aansu agar ye sukh jaen to

    nahin hain zaKHm bharte aur zaban namkin hoti hai

    tumhaara lauT ke aana hamari KHwahish-e-beja

    magar bharte hain jab bhi dam dam-e-amin hoti hai

    sahaara ban nahin pate bhale KHud-gharz kuchh bachche

    musibat ho magar in pe to man ghamgin hoti hai

    siyasat aur daulat jab siyahi sokh lete hain

    kisi ke KHun se taswir tab rangin hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now