gunah kya hai mera pahle inkishaf karo
gunāh kyā hai mirā pahle inkishāf karo
aur us ke baad sazā do yā phir muaaf karo
ye maiñ bhī maan hī lūñgā ki kuchh ġhalat thā maiñ
magar tum apnī bhī ġhalatī kā e'tirāf karo
chalo ki phir se na.e ishq kī kareñ shurūāt
chalo jo dil meñ kudūrat hai us ko saaf karo
uḌā rahūñgā idhar maiñ bhī nā-shanāsī par
udhar tum apne ta.alluq se inhirāf karo
mohabbatoñ meñ anā kaam kis ke aa.ī hai
har ek baat se merī na iḳhtilāf karo
ye ḳhānqāh-e-mohabbat hai dil mirā 'sāhil'
amal yahāñ jo karo aql ke ḳhilāf karo
gunah kya hai mera pahle inkishaf karo
aur us ke baad saza do ya phir muaf karo
ye main bhi man hi lunga ki kuchh ghalat tha main
magar tum apni bhi ghalati ka e'tiraf karo
chalo ki phir se nae ishq ki karen shuruat
chalo jo dil mein kudurat hai us ko saf karo
uDa rahunga idhar main bhi na-shanasi par
udhar tum apne talluq se inhiraf karo
mohabbaton mein ana kaam kis ke aai hai
har ek baat se meri na iKHtilaf karo
ye KHanqah-e-mohabbat hai dil mera 'sahil'
amal yahan jo karo aql ke KHilaf karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.