Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun

Siraj Lakhnavi

gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    gunāhgār huuñ aisā rah-e-najāt meñ huuñ

    maiñ ḳhud charāġh-ba-kaf har añdherī raat meñ huuñ

    shu.ūr gum huā dīvāngī hai khoī huī

    ḳhudā jaane maiñ kis manzil-e-hayāt meñ huuñ

    tajallī-e-pas-e-parda zarā tavaqquf kar

    abhī to garm-e-nazar bazm-e-mumkināt meñ huuñ

    savāl ek nazar hai rad na kar ai dost

    gadā-e-ḳhāk-basar rāh-e-iltifāt meñ huuñ

    harīf-e-jalva bhī ik roz hūñgā sabr karo

    abhī to apnī bahisht-e-tasavvurāt meñ huuñ

    hai terī yaad aalam bhī kitnā dil-āvez

    samajh rahā huuñ kisī aur kā.enāt meñ huuñ

    kisī ke dil sukūñ huuñ kisī ke dil ḳhalish

    zamīr-e-vaqt huuñ aur qalb-e-kā.enāt meñ huuñ

    hai mere haath meñ bhī dil ik bujhā diyā

    kuchh āñsuoñ sajā.ī huī barāt meñ huuñ

    huuñ ḳhud ā.īna-e-hāl kyā batā.ūñ 'sirāj'

    maiñ kis naqsh-e-qadam arsa-e-hayāt meñ huuñ

    gunahgar hun aisa rah-e-najat mein hun

    main KHud charagh-ba-kaf har andheri raat mein hun

    shuur gum hua diwangi hai khoi hui

    KHuda hi jaane main kis manzil-e-hayat mein hun

    tajalli-e-pas-e-parda zara tawaqquf kar

    abhi to garm-e-nazar bazm-e-mumkinat mein hun

    sawal ek nazar ka hai rad na kar ai dost

    gada-e-KHak-basar rah-e-iltifat mein hun

    harif-e-jalwa bhi ek roz hunga sabr karo

    abhi to apni bahisht-e-tasawwuraat mein hun

    hai teri yaad ka aalam bhi kitna dil-awez

    samajh raha hun kisi aur kaenat mein hun

    kisi ke dil ka sukun hun kisi ke dil ki KHalish

    zamir-e-waqt hun aur qalb-e-kaenat mein hun

    hai mere hath mein bhi dil ka ek bujha sa diya

    kuchh aansuon ki sajai hui baraat mein hun

    hun KHud hi aaina-e-haal kya bataun 'siraj'

    main kis ka naqsh-e-qadam arsa-e-hayat mein hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now