ġhuncha-dahan vahī hai ki gūñgā kaheñ jise
hai sarv-qad vo asl meñ lañgDā kaheñ jise
ma.ashūq chāhiye ki ho aisā siyāh-fām
majnūñ miyāñ bhī dekh ke lailā kaheñ jise
mai ko jo istilāh meñ kahte haiñ duḳht-e-raz
vo muġhbacha hai rindoñ kā saalā kaheñ jise
sab jānvar na hazrat-e-insāñ se kyuuñ Dareñ
paidā haiñ us ke peT se havvā kaheñ jise
sab uñgliyāñ jhukā ke añgūThā uThā.iye
ban jā.egī vo shakl ki Theñgā kahīñ jise
ghuncha-dahan wahi hai ki gunga kahen jise
hai sarw-qad wo asl mein langDa kahen jise
mashuq chahiye ki ho aisa siyah-fam
majnun miyan bhi dekh ke laila kahen jise
mai ko jo istilah mein kahte hain duKHt-e-raz
wo mughbacha hai rindon ka sala kahen jise
sab jaanwar na hazrat-e-insan se kyun Daren
paida hain us ke peT se hawwa kahen jise
sab ungliyan jhuka ke anguTha uThaiye
ban jaegi wo shakl ki Thenga kahin jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.