ghuncha-e-wasl sar-e-sham khila de aa kar
ġhuncha-e-vasl sar-e-shām khilā de aa kar
hijr kī rut meñ koī muzhda sunā de aa kar
raqs jaarī hai lahū kā mirī shiryānoñ meñ
barbat-e-rūh meñ āvāz milā de aa kar
log mar jaate haiñ be-chāra-garī ke hote
dam-e-īsā bhī nahīñ ab ki jilā de aa kar
isī ummīd pe sab ahl-e-karam baiThe haiñ
koī saa.il kī tarah aa.e sadā de aa kar
muskurā kar mirī ġhazloñ ko paḌhā kartā hai
sher apne bhī kabhī yaar sunā de aa kar
naav kāġhaz kī liye baiThā huuñ jaane kab se
aa idhar sail-e-ravāñ is ko bahā de aa kar
ghuncha-e-wasl sar-e-sham khila de aa kar
hijr ki rut mein koi muzhda suna de aa kar
raqs jari hai lahu ka meri shiryanon mein
barbat-e-ruh mein aawaz mila de aa kar
log mar jate hain be-chaara-gari ke hote
dam-e-isa bhi nahin ab ki jila de aa kar
isi ummid pe sab ahl-e-karam baiThe hain
koi sail ki tarah aae sada de aa kar
muskura kar meri ghazlon ko paDha karta hai
sher apne bhi kabhi yar suna de aa kar
naw kaghaz ki liye baiTha hun jaane kab se
aa idhar sail-e-rawan is ko baha de aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.