ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya
ġhuncha ġhuncha hañs rahā thaa, patī pattī ro gayā
phuul vāloñ kī galī meñ gul tamāshā ho gayā
ham ne dekhīñ dhuup kī saḌkoñ pe jis kī vahshateñ
raat ke siine se lag kar āḳhirash vo so gayā
āsmāñ ke rauzanoñ se lauT aatā thā kabhī
vo kabūtar ik havelī ke chhajoñ meñ kho gayā
ik galī ke nuur ne tārīk kitne ghar kiye
vo na lauTā shaḳhs biinā āñkheñ le kar jo gayā
ghuncha ghuncha hans raha tha, pati patti ro gaya
phul walon ki gali mein gul tamasha ho gaya
hum ne dekhin dhup ki saDkon pe jis ki wahshaten
raat ke sine se lag kar aaKHirash wo so gaya
aasman ke rauzanon se lauT aata tha kabhi
wo kabutar ek haweli ke chhajon mein kho gaya
ek gali ke nur ne tarik kitne ghar kiye
wo na lauTa shaKHs bina aankhen le kar jo gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.