ghuncha-o-gul ki justuju na rahi
ġhuncha-o-gul kī justujū na rahī
dil meñ ab koī aarzū na rahī
koī aisā bhī hogā duniyā meñ
jis ko duniyā kī aarzū na rahī
kar diyā chashm-e-mast ne mad.hosh
hājat-e-sāġhar-o-subū na rahī
yuuñ maiñ baiThā huuñ mutma.in ho kar
jaise manzil kī justujū na rahī
ab vo laa.e haiñ sāġhar-o-mīnā
mai-kashī kī jab aarzū na rahī
hasrat-e-dīd ke sivā 'aḳhtar'
na rahī koī aarzū na rahī
ghuncha-o-gul ki justuju na rahi
dil mein ab koi aarzu na rahi
koi aisa bhi hoga duniya mein
jis ko duniya ki aarzu na rahi
kar diya chashm-e-mast ne madhosh
hajat-e-saghar-o-subu na rahi
yun main baiTha hun mutmain ho kar
jaise manzil ki justuju na rahi
ab wo lae hain saghar-o-mina
mai-kashi ki jab aarzu na rahi
hasrat-e-did ke siwa 'aKHtar'
na rahi koi aarzu na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.