ghunche chaTak gae chaman-e-rozgar ke
ġhunche chaTak ga.e chaman-e-rozgār ke
phūTe habāb mauj-e-nasīm-e-bahār ke
rizvāñ jo Tokegā dar-e-fridaus par hameñ
kah deñge rahne vaale haiñ ham kū-e-yār ke
āñkheñ taras rahī haiñ mirī terī zulf ko
taare chamak rahe haiñ shab-e-intizār ke
āġhāz meñ bhī ham ko hai anjām kā ḳhayāl
dhaḌke shabāb meñ bhī haiñ roz-e-shumār ke
mazmūn haiñ hiran mirī bandish kamand hai
ai 'qadr' shā.irī meñ maze haiñ shikār ke
ghunche chaTak gae chaman-e-rozgar ke
phuTe habab mauj-e-nasim-e-bahaar ke
rizwan jo Tokega dar-e-fridaus par hamein
kah denge rahne wale hain hum ku-e-yar ke
aankhen taras rahi hain meri teri zulf ko
tare chamak rahe hain shab-e-intizar ke
aaghaz mein bhi hum ko hai anjam ka KHayal
dhaDke shabab mein bhi hain roz-e-shumar ke
mazmun hain hiran meri bandish kamand hai
ai 'qadr' shairi mein maze hain shikar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.