ghunche ka jawab ho gaya hai
ġhunche kā javāb ho gayā hai
dil khil ke gulāb ho gayā hai
pā kar tab-o-tāb soz-e-ġham se
aañsū dur-e-nāb ho gayā hai
kyā fikr-e-bahār o mahfil-e-yār
ab ḳhatm vo baab ho gayā hai
ummīd-e-sukūñ kā zikr-e-ra.anā
sab ḳhvāb-o-sarāb ho gayā hai
marnā bhī nahīñ hai apne bas meñ
jiinā bhī azaab ho gayā hai
ghunche ka jawab ho gaya hai
dil khil ke gulab ho gaya hai
pa kar tab-o-tab soz-e-gham se
aansu dur-e-nab ho gaya hai
kya fikr-e-bahaar o mahfil-e-yar
ab KHatm wo bab ho gaya hai
ummid-e-sukun ka zikr-e-rana
sab KHwab-o-sarab ho gaya hai
marna bhi nahin hai apne bas mein
jina bhi azab ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.