gungunane ki baat karte ho
gungunāne kī baat karte ho
kis zamāne kī baat karte ho
jaane jaane kī baat karte ho
kyuuñ jalāne kī baat karte ho
sañg-e-marmar ke bel būToñ par
phuul aane kī baat karte ho
har nishāne pe jism hai merā
kis nishāne kī baat karte ho
zaḳhm itihās ban chuke haiñ jinheñ
bhuul jaane kī baat karte ho
haa.e fāqa-kashoñ kī qabroñ par
shāmiyāne kī baat karte ho
zikr-e-gulshan chalā to ham samjhe
qaid-ḳhāne kī baat karte ho
bhūle 'panchhī' ho barq ke ghar meñ
āshiyāne kī baat karte ho
gungunane ki baat karte ho
kis zamane ki baat karte ho
jaane jaane ki baat karte ho
kyun jalane ki baat karte ho
sang-e-marmar ke bel buTon par
phul aane ki baat karte ho
har nishane pe jism hai mera
kis nishane ki baat karte ho
zaKHm itihas ban chuke hain jinhen
bhul jaane ki baat karte ho
hae faqa-kashon ki qabron par
shamiyane ki baat karte ho
zikr-e-gulshan chala to hum samjhe
qaid-KHane ki baat karte ho
bhule 'panchhi' ho barq ke ghar mein
aashiyane ki baat karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.