gungunate hue aanchal ki hawa de mujhko
gungunāte hue āñchal kī havā de mujh ko
uñgliyāñ pher ke bāloñ meñ sulā de mujh ko
jis tarah fāltū gul-dān paḌe rahte haiñ
apne ghar ke kisī kone se lagā de mujh ko
yaad kar ke mujhe taklīf hī hotī hogī
ek qissa huuñ purānā sā bhulā de mujh ko
Dūbte Dūbte āvāz tirī sun jā.ūñ
āḳhirī baar to sāhil se sadā de mujh ko
maiñ tire hijr meñ chup-chāp na mar jā.ūñ kahīñ
maiñ huuñ sakte meñ kabhī aa ke rulā de mujh ko
dekh maiñ ho gayā badnām kitāboñ kī tarah
merī tash.hīr na kar ab to jalā de mujh ko
rūThnā terā mirī jaan liye jaatā hai
aise nārāz na ho hañs ke dikhā de mujh ko
aur kuchh bhī nahīñ māñgā mire mālik tujh se
us kī galiyoñ meñ paḌī ḳhaak banā de mujh ko
log kahte haiñ ki ye ishq nigal jaatā hai
maiñ bhī is ishq meñ aayā huuñ duā de mujh ko
yahī auqāt hai merī tire jīvan meñ ki maiñ
koī kamzor sā lamha huuñ bhulā de mujh ko
gungunate hue aanchal ki hawa de mujh ko
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujh ko
jis tarah faltu gul-dan paDe rahte hain
apne ghar ke kisi kone se laga de mujh ko
yaad kar ke mujhe taklif hi hoti hogi
ek qissa hun purana sa bhula de mujh ko
Dubte Dubte aawaz teri sun jaun
aaKHiri bar to sahil se sada de mujh ko
main tere hijr mein chup-chap na mar jaun kahin
main hun sakte mein kabhi aa ke rula de mujh ko
dekh main ho gaya badnam kitabon ki tarah
meri tashhir na kar ab to jala de mujh ko
ruThna tera meri jaan liye jata hai
aise naraaz na ho hans ke dikha de mujh ko
aur kuchh bhi nahin manga mere malik tujh se
us ki galiyon mein paDi KHak bana de mujh ko
log kahte hain ki ye ishq nigal jata hai
main bhi is ishq mein aaya hun dua de mujh ko
yahi auqat hai meri tere jiwan mein ki main
koi kamzor sa lamha hun bhula de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.