gungunati si koi raat bhi aa jati hai
gungunātī sī koī raat bhī aa jaatī hai
aap aate haiñ to barsāt bhī aa jaatī hai
ham ko har-chand gavārā nahīñ aañsū lekin
apnī jholī meñ ye ḳhairāt bhī aa jaatī hai
ārzūoñ ke janāze hī nahīñ palkoñ par
bijliyoñ kī kabhī bārāt bhī aa jaatī hai
gardish-e-jām se haT kar bhī tirī āñkhoñ se
vajd meñ gardish-e-hālāt bhī aa jaatī hai
vo fasāne jo mire naam se mansūb hue
un fasānoñ meñ tirī baat bhī aa jaatī hai
gungunati si koi raat bhi aa jati hai
aap aate hain to barsat bhi aa jati hai
hum ko har-chand gawara nahin aansu lekin
apni jholi mein ye KHairaat bhi aa jati hai
aarzuon ke janaze hi nahin palkon par
bijliyon ki kabhi baraat bhi aa jati hai
gardish-e-jam se haT kar bhi teri aankhon se
wajd mein gardish-e-haalat bhi aa jati hai
wo fasane jo mere nam se mansub hue
un fasanon mein teri baat bhi aa jati hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 226)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.