Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

Zubair Rizvi

ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    ġhurūb-e-shām se ḳhud ko yuuñ mahsūs kartā huuñ

    ki jaise ik diyā huuñ aur havā zad pe rakkhā huuñ

    chamaktī dhuup tum apne dāman meñ na bhar lenā

    maiñ saarī raat peḌoñ tarah bārish meñ bhīgā huuñ

    ye kis āvāz bosa mire hoñToñ pe kāñpā hai

    maiñ pichhlī sab sadāoñ halāvat bhuul baiThā huuñ

    bichhaḌ ke tum se maiñ ne bhī koī sāthī nahīñ DhūñDā

    hujūm-e-rahguzar meñ duur tak dekho akelā huuñ

    koī TuuTā huā rishta na dāman se ulajh jaa.e

    tumhāre saath pahlī baar bāzāroñ meñ niklā huuñ

    maiñ gir ke TuuT jā.ūñ koī mehrāb mil jaa.e

    na jaane kab se hāthoñ meñ khilaunā ban ke jiitā huuñ

    ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

    ki jaise ek diya hun aur hawa ki zad pe rakkha hun

    chamakti dhup tum apne hi daman mein na bhar lena

    main sari raat peDon ki tarah barish mein bhiga hun

    ye kis aawaz ka bosa mere honTon pe kanpa hai

    main pichhli sab sadaon ki halawat bhul baiTha hun

    bichhaD ke tum se main ne bhi koi sathi nahin DhunDa

    hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun

    koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jae

    tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun

    main gir ke TuT jaun ya koi mehrab mil jae

    na jaane kab se hathon mein khilauna ban ke jita hun

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now