ghurub mehr-e-jahan-tab hone wala hai
ġhurūb mehr-e-jahāñ-tāb hone vaalā hai
ye sab fareb-e-nazar ḳhvāb hone vaalā hai
jo thā vo nādir-o-nāyāb ho gayā aur ab
jo hai vo nādir-o-nāyāb hone vaalā hai
ye garm-josh havāoñ kā āḳhirī nauha
hamāre sog meñ barfāb hone vaalā hai
ham aise gaam pe dariyā-e-ḳhauf meñ haiñ ki ab
shu'ūr luqma-e-girdāb hone vaalā hai
ye pushta-bandī magar kis ke kaam aa.egī
har ek ashk to sailāb hone vaalā hai
ghurub mehr-e-jahan-tab hone wala hai
ye sab fareb-e-nazar KHwab hone wala hai
jo tha wo nadir-o-nayab ho gaya aur ab
jo hai wo nadir-o-nayab hone wala hai
ye garm-josh hawaon ka aaKHiri nauha
hamare sog mein barfab hone wala hai
hum aise gam pe dariya-e-KHauf mein hain ki ab
shu'ur luqma-e-girdab hone wala hai
ye pushta-bandi magar kis ke kaam aaegi
har ek ashk to sailab hone wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.