ghurur-e-bazm-e-tarab ko nami ne mar diya
ghurur-e-bazm-e-tarab ko nami ne mar diya
Muzammil Abbas Shajar
MORE BYMuzammil Abbas Shajar
ġhurūr-e-bazm-e-tarab ko namī ne maar diyā
hamāre zabt ko terī kamī ne maar diyā
dar-e-najaf se zarā iḳhtiyār hāsil kar
na kah sakegā kabhī bebasī ne maar diyā
darūn-e-ḳhāna-e-hastī ye kaisā shor uThā
badan meñ kaal paḌā bekalī ne maar diyā
qalam ne lauh pe sar rakh ke aisā girya kiyā
ġhazal ne bain kiye shā.irī ne maar diyā
duā jo maut kī māñgī to ye javāb milā
na mar sakā vo jise zindagī ne maar diyā
samajh rahā thā use hāsil-e-hayāt magar
uThā hijāb mujhe āgahī ne maar diyā
unhīñ pe hogī 'shajar' guftugū zamāne meñ
kuchh aise log jinheñ ḳhāmushī ne maar diyā
ghurur-e-bazm-e-tarab ko nami ne mar diya
hamare zabt ko teri kami ne mar diya
dar-e-najaf se zara iKHtiyar hasil kar
na kah sakega kabhi bebasi ne mar diya
darun-e-KHana-e-hasti ye kaisa shor uTha
badan mein kal paDa bekali ne mar diya
qalam ne lauh pe sar rakh ke aisa girya kiya
ghazal ne bain kiye shairi ne mar diya
dua jo maut ki mangi to ye jawab mila
na mar saka wo jise zindagi ne mar diya
samajh raha tha use hasil-e-hayat magar
uTha hijab mujhe aagahi ne mar diya
unhin pe hogi 'shajar' guftugu zamane mein
kuchh aise log jinhen KHamushi ne mar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.