ghurur-e-husn mein shahi jalal hota hai
ġhurūr-e-husn meñ shāhī jalāl hotā hai
parī-ruḳhoñ kā sabhī kuchh kamāl hotā hai
tarāsh aisī ki ruktī hai saañs dhaḌkan kī
phir us pe chalnā qayāmat kī chaal hotā hai
qasam ḳhudā kī ai lafzoñ se māvarā laḌkī
badan aur aisā badan ḳhāl-ḳhāl hotā hai
panāh bādaloñ meñ DhūñDhtā hai māh-e-tamām
jo be-hijāb vo zohra-jamāl hotā hai
ḳhudā hī jaane use chuum leñ to phir kyā ho
jo gaal naam se bose ke laal hotā hai
agar vo lab nazar aa.eñ to zulf bhī dekho
har ek daane pe maujūd jaal hotā hai
farishte dil nahīñ rakhte yaqīn aatā hai
kisī hasīn kā jab intiqāl hotā hai
duā hai ishq mirā terī ruuh tak pahuñche
yahī nashāt faqat lā-zavāl hotā hai
vafūr-e-ārzū dar-asl zindagānī hai
tamannā martī hai tab intiqāl hotā hai
nigāh-e-'qais' se dekho hamesha lailā ko
sanam kisī kā bhī ho be-misāl hotā hai
ghurur-e-husn mein shahi jalal hota hai
pari-ruKHon ka sabhi kuchh kamal hota hai
tarash aisi ki rukti hai sans dhaDkan ki
phir us pe chalna qayamat ki chaal hota hai
qasam KHuda ki ai lafzon se mawara laDki
badan aur aisa badan KHal-KHal hota hai
panah baadalon mein DhunDhta hai mah-e-tamam
jo be-hijab wo zohra-jamal hota hai
KHuda hi jaane use chum len to phir kya ho
jo gal nam se bose ke lal hota hai
agar wo lab nazar aaen to zulf bhi dekho
har ek dane pe maujud jal hota hai
farishte dil nahin rakhte yaqin aata hai
kisi hasin ka jab intiqal hota hai
dua hai ishq mera teri ruh tak pahunche
yahi nashat faqat la-zawal hota hai
wafur-e-arzu dar-asl zindagani hai
tamanna marti hai tab intiqal hota hai
nigah-e-'qais' se dekho hamesha laila ko
sanam kisi ka bhi ho be-misal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.