ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha
ġhurūr-e-husn-o-jafā us kā sab shunīda thā
magar vo sāmne aayā to ābdīda thā
vo shab kī shab mire har pyaar kā javāb rahā
sahar huī to vahī shaḳhs kuchh kashīda thā
mujhe qubūl ki thā be-hisāb us kā karam
use bhī 'ilm ki dāman mirā darīda thā
libās tan pe thā ḳhūñ-gashta-e-anā dil thā
vo ab bhī zinda to thā haa.e sar-burīda thā
ġhamoñ ke saath mohabbat ke kitne pechāñ the
ġhamoñ kā saath magar dast-e-nā-rasīda thā
vo e.atibār-e-hunar saath kyoñ liye phirtā
ki us kī jholī meñ har lafz nā-chashīda thā
ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha
magar wo samne aaya to aabdida tha
wo shab ki shab mere har pyar ka jawab raha
sahar hui to wahi shaKHs kuchh kashida tha
mujhe qubul ki tha be-hisab us ka karam
use bhi 'ilm ki daman mera darida tha
libas tan pe tha KHun-gashta-e-ana dil tha
wo ab bhi zinda to tha hae sar-burida tha
ghamon ke sath mohabbat ke kitne pechan the
ghamon ka sath magar dast-e-na-rasida tha
wo eatibar-e-hunar sath kyon liye phirta
ki us ki jholi mein har lafz na-chashida tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.