ghurur-e-jalwa-e-irfan hai dekhiye kya ho
ghurur-e-jalwa-e-irfan hai dekhiye kya ho
Ghaus Mohammad Ghausi
MORE BYGhaus Mohammad Ghausi
ġhurūr-e-jalva-e-irfāñ hai dekhiye kyā ho
baḌe añdhere meñ insāñ hai dekhiye kyā ho
chale haiñ toḌne zindāñ ko chand dīvāne
savāl-e-azmat-e-zindāñ hai dekhiye kyā ho
qarīb-e-shādī-e-marg aa chalā hai dīvāna
naqāb silsila-jumbāñ hai dekhiye kyā ho
sadāqateñ bhī haiñ ab ittihām kī zad par
bashar bashar se gurezāñ hai dekhiye kyā ho
havā.eñ ruḳh to badalne lagī haiñ ai 'ġhausī'
shabāb-e-jashn-e-charāġhāñ hai dekhiye kyā ho
ghurur-e-jalwa-e-irfan hai dekhiye kya ho
baDe andhere mein insan hai dekhiye kya ho
chale hain toDne zindan ko chand diwane
sawal-e-azmat-e-zindan hai dekhiye kya ho
qarib-e-shadi-e-marg aa chala hai diwana
naqab silsila-jumban hai dekhiye kya ho
sadaqaten bhi hain ab ittiham ki zad par
bashar bashar se gurezan hai dekhiye kya ho
hawaen ruKH to badalne lagi hain ai 'ghausi'
shabab-e-jashn-e-charaghan hai dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.