gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai
gūñge lafzoñ kā ye be-samt safar merā hai
guftugū us kī hai lahje meñ asar merā hai
maiñ ne kho.e haiñ yahāñ apne sunahre shab o roz
dar-o-dīvār kisī ke hoñ ye ghar merā hai
merā aslāf se rishta to na toḌ ai duniyā
sab mahal tere haiñ lekin ye khañDar merā hai
aatī jaatī huī fasloñ kā muhāfiz huuñ maiñ
phal to sab us kī amānat haiñ shajar merā hai
mere āñgan ke muqaddar meñ añdherā hī sahī
ik charāġh ab bhī sar-e-rāhguzar merā hai
duur tak dār-o-rasan dār-o-rasan dār-o-rasan
aise hālāt meñ jiinā bhī hunar merā hai
jab bhī talvār uThātā huuñ ki chheḌūñ koī jang
aisā lagtā hai ki har shāne pe sar merā hai
gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai
guftugu us ki hai lahje mein asar mera hai
main ne khoe hain yahan apne sunahre shab o roz
dar-o-diwar kisi ke hon ye ghar mera hai
mera aslaf se rishta to na toD ai duniya
sab mahal tere hain lekin ye khanDar mera hai
aati jati hui faslon ka muhafiz hun main
phal to sab us ki amanat hain shajar mera hai
mere aangan ke muqaddar mein andhera hi sahi
ek charagh ab bhi sar-e-rahguzar mera hai
dur tak dar-o-rasan dar-o-rasan dar-o-rasan
aise haalat mein jina bhi hunar mera hai
jab bhi talwar uThata hun ki chheDun koi jang
aisa lagta hai ki har shane pe sar mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.