gunjti wadi mein aawaz abhi baqi hai
gūñjtī vaadī meñ āvāz abhī baaqī hai
taar TuuTe haiñ to kyā saaz abhī baaqī hai
phir zamīñ khīñch rahī hai mujhe apnī jānib
maiñ rukūñ kaise ki parvāz abhī baaqī hai
maut se pahle mirī maut ko likhne vaale
mere anjām kā āġhāz abhī baaqī hai
tū idhar hai ki nahīñ itnā batā de mujh ko
saare parde uThe par raaz abhī baaqī hai
vaqt ne gard kiyā phuul se chehroñ kā jamāl
par adā baaqī hai andāz abhī baaqī hai
gunjti wadi mein aawaz abhi baqi hai
tar TuTe hain to kya saz abhi baqi hai
phir zamin khinch rahi hai mujhe apni jaanib
main rukun kaise ki parwaz abhi baqi hai
maut se pahle meri maut ko likhne wale
mere anjam ka aaghaz abhi baqi hai
tu idhar hai ki nahin itna bata de mujh ko
sare parde uThe par raaz abhi baqi hai
waqt ne gard kiya phul se chehron ka jamal
par ada baqi hai andaz abhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.