guzar chuki hai jo shab iztirab kaisa hai
guzar chuki hai jo shab iztirab kaisa hai
Syed Fakhruddiin Balley
MORE BYSyed Fakhruddiin Balley
guzar chukī hai jo shab iztirāb kaisā hai
ufuq pe hosh-rubā iltihāb kaisā hai
vajūdiyat kā ye rangīñ sarāb kaisā hai
har ek chehre pe mub.ham naqāb kaisā hai
raheñge marhale ta.azīr ke jo mar kar bhī
ye zindagī kā musalsal azaab kaisā hai
ḳhudā hī jaane ki din meñ tavīl raat ke baad
haiñ shab-gazīda jo sab ehtisāb kaisā hai
vo haal pūchhne aa.e to maiñ ḳhamosh rahā
savāl ḳhuub thā lekin javāb kaisā hai
kitāb laakh purānī sahī magar is par
chhapā hai ab jo nayā intisāb kaisā hai
hai ma.arifat kā safar āgahī se hairat tak
murāja.at kā jo ho irtikāb kaisā hai
vitā-e-kāhkashāñ par zamīñ ke baare meñ
jo bhīgī āñkhoñ ne dekhā vo ḳhvāb kaisā hai
maiñ jāntā huuñ magar tū bhī aa.ina le kar
mujhe batā ki mirā intiḳhāb kaisā hai
guzar chuki hai jo shab iztirab kaisa hai
ufuq pe hosh-ruba iltihab kaisa hai
wajudiyat ka ye rangin sarab kaisa hai
har ek chehre pe mubham naqab kaisa hai
rahenge marhale tazir ke jo mar kar bhi
ye zindagi ka musalsal azab kaisa hai
KHuda hi jaane ki din mein tawil raat ke baad
hain shab-gazida jo sab ehtisab kaisa hai
wo haal puchhne aae to main KHamosh raha
sawal KHub tha lekin jawab kaisa hai
kitab lakh purani sahi magar is par
chhapa hai ab jo naya intisab kaisa hai
hai marifat ka safar aagahi se hairat tak
murajat ka jo ho irtikab kaisa hai
wita-e-kahkashan par zamin ke bare mein
jo bhigi aankhon ne dekha wo KHwab kaisa hai
main jaanta hun magar tu bhi aaina le kar
mujhe bata ki mera intiKHab kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.