guzar gae hain jo din un ko yaad karna kya
guzar ga.e haiñ jo din un ko yaad karnā kyā
ye zindagī ke liye roz roz marnā kyā
mirī nazar meñ ga.e mausamoñ ke rañg bhī haiñ
jo aane vaale haiñ un mausamoñ se Darnā kyā
bujhe hue dar-o-dīvār ko bhī raunaq de
ye ḳhvāb ban ke mirī aañkh se guzarnā kyā
misāl-e-ashk sar-e-dāman-e-hayāt huuñ maiñ
mirī ravānī hī kyā aur mirā Thaharnā kyā
hujūm-e-jalva se jis raah par charāġhāñ thā
jo bujh ga.ī hai to us raah se guzarnā kyā
misāl-e-naqsh-e-qadam apnī hairatoñ meñ huuñ gum
vo jā chukā hai to phir intizār karnā kyā
guzar rahī hai ġhanīmat hai zindagī maanā
magar ye ek hī andāz se guzarnā kyā
guzar gae hain jo din un ko yaad karna kya
ye zindagi ke liye roz roz marna kya
meri nazar mein gae mausamon ke rang bhi hain
jo aane wale hain un mausamon se Darna kya
bujhe hue dar-o-diwar ko bhi raunaq de
ye KHwab ban ke meri aankh se guzarna kya
misal-e-ashk sar-e-daman-e-hayat hun main
meri rawani hi kya aur mera Thaharna kya
hujum-e-jalwa se jis rah par charaghan tha
jo bujh gai hai to us rah se guzarna kya
misal-e-naqsh-e-qadam apni hairaton mein hun gum
wo ja chuka hai to phir intizar karna kya
guzar rahi hai ghanimat hai zindagi mana
magar ye ek hi andaz se guzarna kya
- Book : Abyaat (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.