guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak
guzar gayā intizār had se ye vāda-e-nā-tamām kab tak
na marne degī mujhe sitamgar tirī tamannā-e-ḳhām kab tak
ajal mirā itnā kaam kar de ki kaam merā tamām kar de
rahe koī zindagī ke hāthoñ jahāñ meñ rusvā-e-ām kab tak
vo aa.e yā vaade par na aa.e balā se qismat jo kuchh dikhā de
magar hameñ dekhnā to ye hai ki aaj hotī hai shaam kab tak
ye bahas o takrār chhoḌ de aa ye zohd kā ahd toḌ de
rahegī ai mudda.ī-e-hurmat sharāb-e-duniyā harām kab tak
guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak
na marne degi mujhe sitamgar teri tamanna-e-KHam kab tak
ajal mera itna kaam kar de ki kaam mera tamam kar de
rahe koi zindagi ke hathon jahan mein ruswa-e-am kab tak
wo aae ya wade par na aae bala se qismat jo kuchh dikha de
magar hamein dekhna to ye hai ki aaj hoti hai sham kab tak
ye bahas o takrar chhoD de aa ye zohd ka ahd toD de
rahegi ai muddai-e-hurmat sharab-e-duniya haram kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.