guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
guzar is hujra-e-gardūñ se ho kīdhar apnā
qaid-ḳhāna hai 'ajab gumbad-e-be-dar apnā
shakl rahne kī hai bastī meñ ye us bin apnī
jaise jangal meñ banātā hai koī ghar apnā
shab kī be-tābiyāñ kyā kahiye ki dekhā jo sahar
TukḌe TukḌe nazar aayā hameñ bistar apnā
ham-nashīñ us ko jo laanā hai to lā jald ki ham
thāme baiThe raheñ kab tak dil-e-muztar apnā
vo ga.e din ki sadā mai-kada-e-hastī meñ
bāda-e-aish se labrez thā sāġhar apnā
tāb-e-nazzāra tirī laa.e na ḳhurshīd zarā
haath jab tak ki na rakh le vo jabīñ par apnā
deñge sar 'ishq ke saude meñ agarche ham ko
is meñ nuqsāñ nazar aatā hai sarāsar apnā
hai zamīñ ḳhuub ġhazal-dar-ġhazal is ko kahiye
bas ki mā'mūl hai 'jur.at' yahī aksar apnā
guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
qaid-KHana hai 'ajab gumbad-e-be-dar apna
shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni
jaise jangal mein banata hai koi ghar apna
shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar
TukDe TukDe nazar aaya hamein bistar apna
ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum
thame baiThe rahen kab tak dil-e-muztar apna
wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mein
baada-e-aish se labrez tha saghar apna
tab-e-nazzara teri lae na KHurshid zara
hath jab tak ki na rakh le wo jabin par apna
denge sar 'ishq ke saude mein agarche hum ko
is mein nuqsan nazar aata hai sarasar apna
hai zamin KHub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye
bas ki ma'mul hai 'jurat' yahi aksar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.