guzar jaenge ye din bebasi ke
guzar jā.eñge ye din bebasī ke
zamāne lauT ā.eñge ḳhushī ke
uTho aur bandagī kar lo ḳhudā kī
guzar jaa.eñ na lamhe bandagī ke
ḳhudā kī zaat par rakkheñ bharosa
bharegā vo ḳhazāne har kisī ke
hamesha vāsta nekī se rakhnā
na jaanā paas hargiz tum badī ke
huī hai sham.a gul ab pyaar vaalī
jaleñ kaise diye ab zindagī ke
bharosa hai ḳhudā kī rahmatoñ par
to kyuuñ phailā.eñ haath aage kisī ke
ḳhudā mahfūz rakkhe har balā se
chalan achchhe nahīñ haiñ is sadī ke
nazar nīchī ye māthe kī matānat
maiñ qurbāñ aap kī us sādgī ke
guzar jaenge ye din bebasi ke
zamane lauT aaenge KHushi ke
uTho aur bandagi kar lo KHuda ki
guzar jaen na lamhe bandagi ke
KHuda ki zat par rakkhen bharosa
bharega wo KHazane har kisi ke
hamesha wasta neki se rakhna
na jaana pas hargiz tum badi ke
hui hai shama gul ab pyar wali
jalen kaise diye ab zindagi ke
bharosa hai KHuda ki rahmaton par
to kyun phailaen hath aage kisi ke
KHuda mahfuz rakkhe har bala se
chalan achchhe nahin hain is sadi ke
nazar nichi ye mathe ki matanat
main qurban aap ki us sadgi ke
- Book : Rehguzar (Pg. 52)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.