guzar jata hai yun daur-e-shabab aahista aahista
guzar jaatā hai yuuñ daur-e-shabāb āhista āhista
ki utre jis tarah kaif-e-sharāb āhista āhista
shafaq hotī hai jaise muntaqil shab ke añdheroñ meñ
badaltī jaatī hai tābīr-e-ḳhvāb āhista āhista
chalegā silsila kuchh aur abhī ḳhāna-ḳharābī kā
ki baste haiñ tabāh-e-inqalāb āhista āhista
jarā.em ke bagūle rafta rafta ban ga.e tūfāñ
fasīl-e-shahr par TuuTā azaab āhista āhista
ravish yak-laḳht badle yuuñ kabhī hote nahīñ dekhā
hamārā taur badlegā janāb āhista āhista
tasāhul ham ne bartā yā taġhāful aap kī ḳhū hai
milegā in savāloñ kā javāb āhista āhista
achānak rū-numā.ī se nazar ḳhīra na ho jaa.e
zarā sarkā.iye ruḳh se naqāb āhista āhista
paḌhīñ logoñ ne jis par talḳhiyāñ umr-e-guzishta kī
mirā chehra banā aisī kitāb āhista āhista
ġham-e-daurāñ kī roz-afzūñ sitamgārī ne ai 'mohsin'
hamārī ziist kar Daalī azaab āhista āhista āhista
guzar jata hai yun daur-e-shabab aahista aahista
ki utre jis tarah kaif-e-sharab aahista aahista
shafaq hoti hai jaise muntaqil shab ke andheron mein
badalti jati hai tabir-e-KHwab aahista aahista
chalega silsila kuchh aur abhi KHana-KHarabi ka
ki baste hain tabah-e-inqalab aahista aahista
jaraem ke bagule rafta rafta ban gae tufan
fasil-e-shahr par TuTa azab aahista aahista
rawish yak-laKHt badle yun kabhi hote nahin dekha
hamara taur badlega janab aahista aahista
tasahul hum ne barta ya taghaful aap ki KHu hai
milega in sawalon ka jawab aahista aahista
achanak ru-numai se nazar KHira na ho jae
zara sarkaiye ruKH se naqab aahista aahista
paDhin logon ne jis par talKHiyan umr-e-guzishta ki
mera chehra bana aisi kitab aahista aahista
gham-e-dauran ki roz-afzun sitamgari ne ai 'mohsin'
hamari zist kar Dali azab aahista aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.