guzar jate hain aa kar samne kya kya alam uske
guzar jaate haiñ aa kar sāmne kyā kyā alam us ke
Thaharne kā takalluf hī nahīñ karte qadam us ke
kabhī arzī hamārī bhī sunī jaatī thī majlis meñ
kabhī ham se bhī the mānūs altāf-o-karam us ke
qayāmat hai ki un ko bhī ināyat kah rahā hai dil
abhī tak jānte the jin ko ham zulm-o-sitam us ke
sunāte the shikasta dil kī aaheñ ek duuje ko
hamārā rāz-dāñ vo ban gayā thā aur ham us ke
muḳhālif āñdhiyoñ se Than ga.ī kuchh yuuñ parinde kī
nahīñ juz arsh jaagā raah meñ lene ko dam us ke
dayār-e-aish meñ us kā tasavvur tak nahīñ hotā
kaḌe hāloñ meñ sab khojā kiye naqsh-e-qadam us ke
koī mushkil baḌī ummīd se raste meñ haa.il thī
so ham bhī duur hī se dekhte the pech-o-ḳham us ke
guzar jate hain aa kar samne kya kya alam us ke
Thaharne ka takalluf hi nahin karte qadam us ke
kabhi arzi hamari bhi suni jati thi majlis mein
kabhi hum se bhi the manus altaf-o-karam us ke
qayamat hai ki un ko bhi inayat kah raha hai dil
abhi tak jaante the jin ko hum zulm-o-sitam us ke
sunate the shikasta dil ki aahen ek duje ko
hamara raaz-dan wo ban gaya tha aur hum us ke
muKHalif aandhiyon se Than gai kuchh yun parinde ki
nahin juz arsh jaga rah mein lene ko dam us ke
dayar-e-aish mein us ka tasawwur tak nahin hota
kaDe haalon mein sab khoja kiye naqsh-e-qadam us ke
koi mushkil baDi ummid se raste mein hail thi
so hum bhi dur hi se dekhte the pech-o-KHam us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.