guzar jate hain jo nazren bacha kar be-KHabar ho kar
guzar jaate haiñ jo nazreñ bachā kar be-ḳhabar ho kar
vo kyā darmāñ kareñge dard-e-dil kā chārāgar ho kar
nahīñ sayyād kā shikva yahī manzūr-e-qudrat thā
qafas hī meñ hameñ rahnā thā yuuñ be-bāl-o-par ho kar
zamāne-bhar meñ ho aa.e tumhārī diid kī ḳhātir
charāġh-e-ārzū ban kar tamannā-e-nazar ho kar
burā ho be-ḳhudī kā ham rahe mahrūm-e-nazzāra
guzarne ko hazāroñ baar vo guzre idhar ho kar
muqaddar meñ jo hotā hai likhā ho kar hī rahtā hai
mirī aaheñ palaT aa.iiñ falak se be-asar ho kar
kahāñ se kis tarah kis vaqt khiñch kar log aa pahuñche
vahīñ lagte ga.e mele koī guzrā jidhar ho kar
suḳhan-dānoñ ne lākhoñ sher kah Daale magar 'āqil'
nahīñ vo sher jo utre na dil meñ neshtar ho kar
guzar jate hain jo nazren bacha kar be-KHabar ho kar
wo kya darman karenge dard-e-dil ka chaaragar ho kar
nahin sayyaad ka shikwa yahi manzur-e-qudrat tha
qafas hi mein hamein rahna tha yun be-baal-o-par ho kar
zamane-bhar mein ho aae tumhaari did ki KHatir
charagh-e-arzu ban kar tamanna-e-nazar ho kar
bura ho be-KHudi ka hum rahe mahrum-e-nazzara
guzarne ko hazaron bar wo guzre idhar ho kar
muqaddar mein jo hota hai likha ho kar hi rahta hai
meri aahen palaT aain falak se be-asar ho kar
kahan se kis tarah kis waqt khinch kar log aa pahunche
wahin lagte gae mele koi guzra jidhar ho kar
suKHan-danon ne lakhon sher kah Dale magar 'aqil'
nahin wo sher jo utre na dil mein neshtar ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.