guzar ko hai bahut auqat thoDi
guzar ko hai bahut auqāt thoḌī
ki hai ye tuul qissa raat thoḌī
jo mai zāhid ne māñgī mast bole
bahut yā qibla-e-hājāt thoḌī
kahāñ ġhuncha kahāñ us kā dahan tañg
baḌhā.ī shā.eroñ ne baat thoḌī
uThe kyā zānū-e-ġham se sar apnā
bahut guzrī rahī haihāt thoḌī
ḳhayāl-e-zabt-e-girya hai jo ham ko
bahut imsāl hai barsāt thoḌī
pilā.e le ke naqd-e-hosh saaqī
tahī-dastoñ kī hai auqāt thoḌī
vahī hai āsmāñ par ganj-e-anjum
milī thī jo tirī ḳhairāt thoḌī
tirā ai duḳht-e-raz vāsif hai vaa.iz
pa.e-hurmat hai itnī baat thoḌī
chalo manzil 'amīr' āñkheñ to kholo
nihāyat rah ga.ī hai raat thoḌī
guzar ko hai bahut auqat thoDi
ki hai ye tul qissa raat thoDi
jo mai zahid ne mangi mast bole
bahut ya qibla-e-hajat thoDi
kahan ghuncha kahan us ka dahan tang
baDhai shaeron ne baat thoDi
uThe kya zanu-e-gham se sar apna
bahut guzri rahi haihat thoDi
KHayal-e-zabt-e-girya hai jo hum ko
bahut imsal hai barsat thoDi
pilae le ke naqd-e-hosh saqi
tahi-daston ki hai auqat thoDi
wahi hai aasman par ganj-e-anjum
mili thi jo teri KHairaat thoDi
tera ai duKHt-e-raz wasif hai waiz
pae-hurmat hai itni baat thoDi
chalo manzil 'amir' aankhen to kholo
nihayat rah gai hai raat thoDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.