guzaran hain guzarte rahte hain
guzarāñ haiñ guzarte rahte haiñ
ham miyāñ jaan marte rahte haiñ
haa.e jānāñ vo nāf-pyāla tirā
dil meñ bas ghūñT utarte rahte haiñ
dil kā jalsa bikhar gayā to kyā
saare jalse bikharte rahte haiñ
ya.anī kyā kuchh bhulā diyā ham ne
ab to ham ḳhud se Darte rahte haiñ
ham se kyā kyā ḳhudā mukartā hai
ham ḳhudā se mukarte rahte haiñ
hai ajab us kā hāl-e-hijr ki ham
gaahe gaahe sañvarte rahte haiñ
dil ke sab zaḳhm pesha-var haiñ miyāñ
aan hā aan bharte rahte haiñ
guzaran hain guzarte rahte hain
hum miyan jaan marte rahte hain
hae jaanan wo naf-pyala tera
dil mein bas ghunT utarte rahte hain
dil ka jalsa bikhar gaya to kya
sare jalse bikharte rahte hain
yani kya kuchh bhula diya hum ne
ab to hum KHud se Darte rahte hain
hum se kya kya KHuda mukarta hai
hum KHuda se mukarte rahte hain
hai ajab us ka haal-e-hijr ki hum
gahe gahe sanwarte rahte hain
dil ke sab zaKHm pesha-war hain miyan
aan ha aan bharte rahte hain
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 39)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.