guzarna rahguzaron se baDa aasan tha pahle
guzarnā rahguzāroñ se baḌā āsān thā pahle
ilāqa ham jahāñ rahte haiñ vo sunsān thā pahle
sabab kyā hai use khone kā kuchh bhī ġham nahīñ hotā
jise paane kā is dil ko baḌā armān thā pahle
ye aalam hai ki ab kuchh bhī nahīñ ik hū kā aalam hai
hamāre ḳhāna-e-dil meñ koī mehmān thā pahle
bashar kā shar numāyāñ ho gayā daur-e-taraqqī meñ
yahī vo aadmī hai jo kabhī insān thā pahle
ajab ḳhushbū sī aatī hai dar-o-dīvār se ab bhī
yahāñ koī yaqīnan sāhib-e-īmān thā pahle
vo mere vāste ab jaan dene par hai āmāda
vahī 'jāved' jo merā harīf-e-jān thā pahle
guzarna rahguzaron se baDa aasan tha pahle
ilaqa hum jahan rahte hain wo sunsan tha pahle
sabab kya hai use khone ka kuchh bhi gham nahin hota
jise pane ka is dil ko baDa arman tha pahle
ye aalam hai ki ab kuchh bhi nahin ek hu ka aalam hai
hamare KHana-e-dil mein koi mehman tha pahle
bashar ka shar numayan ho gaya daur-e-taraqqi mein
yahi wo aadmi hai jo kabhi insan tha pahle
ajab KHushbu si aati hai dar-o-diwar se ab bhi
yahan koi yaqinan sahib-e-iman tha pahle
wo mere waste ab jaan dene par hai aamada
wahi 'jawed' jo mera harif-e-jaan tha pahle
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 139)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.