guzarti sham ne phir se pukara
guzartī shaam ne phir se pukārā
girā hai aañkh se koī sitāra
churā lo vaqt kī chādar se mujh ko
chhupā lo aañkh meñ apnī ḳhudārā
samundar soch meñ Duubā huā hai
kisī par haar baiThā hai kinārā
fazā badlī huī hai shahr-e-jāñ kī
kisī ne aaj phir mujh ko pukārā
laboñ ko hai takalluf aarzū se
mirī ḳhāmoshiyāñ haiñ ik ishāra
tumhāre saath ho to zindagī hai
tumhāre baa'd rasmī sā guzārā
agarche lauT jaane kā kahā hai
nahīñ lagtā lagegā dil hamārā
taḳhayyul chāñdnī hai chāñd bhī hai
agarche tīrgī ne hai nikhārā
kise mā'lūm hai jhagḌe meñ 'nīlam'
bazāhir jiit kar bhī kaun haarā
guzarti sham ne phir se pukara
gira hai aankh se koi sitara
chura lo waqt ki chadar se mujh ko
chhupa lo aankh mein apni KHudara
samundar soch mein Duba hua hai
kisi par haar baiTha hai kinara
faza badli hui hai shahr-e-jaan ki
kisi ne aaj phir mujh ko pukara
labon ko hai takalluf aarzu se
meri KHamoshiyan hain ek ishaara
tumhaare sath ho to zindagi hai
tumhaare ba'd rasmi sa guzara
agarche lauT jaane ka kaha hai
nahin lagta lagega dil hamara
taKHayyul chandni hai chand bhi hai
agarche tirgi ne hai nikhaara
kise ma'lum hai jhagDe mein 'nilam'
bazahir jit kar bhi kaun haara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.