guzishta ahl-e-safar ko jahan sukun mila
guzishta ahl-e-safar ko jahāñ sukūn milā
na jaane kyuuñ hameñ un manziloñ pe ḳhuun milā
ḳharāb vaqt hai ab fāsla hī behtar hai
kabhī mileñge jo māhaul pur-sukūn milā
kabhī zamāne se māñgā thā paikar-e-shīrīñ
tarāshne ko hameñ koh-e-be-sutūn milā
vo 'rām' naḳhl-e-vafā hai maiñ barg-e-āvāra
use jumūd milā hai mujhe junūn milā
guzishta ahl-e-safar ko jahan sukun mila
na jaane kyun hamein un manzilon pe KHun mila
KHarab waqt hai ab fasla hi behtar hai
kabhi milenge jo mahaul pur-sukun mila
kabhi zamane se manga tha paikar-e-shirin
tarashne ko hamein koh-e-be-sutun mila
wo 'ram' naKHl-e-wafa hai main barg-e-awara
use jumud mila hai mujhe junun mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.