guzishta din ki ek taswir maine ghar pe rakkhi thi
guzishta din kī ik tasvīr maiñ ne ghar pe rakkhī thī
vo bas is baat ko le ke hī dhartī sar pe rakkhī thī
maro yā maar do gar bach ga.e to phir raho tayyār
ajab shart-e-hukūmat thī ki jo lashkar pe rakkhī thī
tire dar se uThī to phir kahīñ bhī ye na Tik pā.īñ
nigah kuchh is qadar tere tan-e-marmar pe rakkhī thī
sabhī daanā tavānā dast-basta the khaḌe saf meñ
sabhī kī chashm-e-pur-ḳhvāhish vahīñ mimbar pe rakkhī thī
qadam zarra barābar bhī baḌhā paa.eñ nahīñ jibrīl
hazāroñ quvvat-e-parvāz in shahpar pe rakkhī thī
guzishta din ki ek taswir main ne ghar pe rakkhi thi
wo bas is baat ko le ke hi dharti sar pe rakkhi thi
maro ya mar do gar bach gae to phir raho tayyar
ajab shart-e-hukumat thi ki jo lashkar pe rakkhi thi
tere dar se uThi to phir kahin bhi ye na Tik pain
nigah kuchh is qadar tere tan-e-marmar pe rakkhi thi
sabhi dana tawana dast-basta the khaDe saf mein
sabhi ki chashm-e-pur-KHwahish wahin mimbar pe rakkhi thi
qadam zarra barabar bhi baDha paen nahin jibril
hazaron quwwat-e-parwaz in shahpar pe rakkhi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.