guzishta shab hama-auqat gharq-e-jam rahe
guzishta shab hama-auqāt ġharq-e-jām rahe
kabhī ḳhudā se kabhī us se ham-kalām rahe
duā-e-āḳhir-e-shab meñ usī ko māñgā hai
jo qatl-e-harf-e-tamannā pe shād-kām rahe
kabhī jo aa.ī bhī takmīl-e-ārzū kī ghaḌī
jo nā-tamām the qisse vo nā-tamām rahe
diye saje raheñ palkoñ pe dil sulagtā rahe
vo aa.e yā ki na aa.e ye iltizām rahe
lahū lahū dil-o-jāñ hoñ par apne qātil kā
'shamīm' kuchh bhī ho malhūz ehtirām rahe
guzishta shab hama-auqat gharq-e-jam rahe
kabhi KHuda se kabhi us se ham-kalam rahe
dua-e-aKHir-e-shab mein usi ko manga hai
jo qatl-e-harf-e-tamanna pe shad-kaam rahe
kabhi jo aai bhi takmil-e-arzu ki ghaDi
jo na-tamam the qisse wo na-tamam rahe
diye saje rahen palkon pe dil sulagta rahe
wo aae ya ki na aae ye iltizam rahe
lahu lahu dil-o-jaan hon par apne qatil ka
'shamim' kuchh bhi ho malhuz ehtiram rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.