guzishta shab jo hasti bar-faraaz-e-dar thi main tha
guzishta shab jo hastī bar-farāz-e-dār thī maiñ thā
phir agle din jo surḳhī shaukat-e-aḳhbār thī maiñ thā
vahāñ kuchh log the ilzām the baaqī añdherā hai
bas itnā yaad hai jallād thā talvār thī maiñ thā
jahāñ tasvīr banvāne kī ḳhātir log aate the
vahāñ pas-manzar-e-tasvīr jo dīvār thī maiñ thā
maiñ apnā sar na kartā pesh ujrat meñ to kyā kartā
tumhārī baat thī vo bhī sar-e-bāzār thī maiñ thā
ye vīrāñ surḳh sayyāre inheñ dekhūñ to lagtā hai
tirī duniyā meñ jo chahkār thī mahkār thī maiñ thā
ḳhafā mat ho mire badle vahāñ gul-dān rakh denā
tire kamre kī chīzoñ meñ jo shai bekār thī maiñ thā
tumhāre ḳhat jo maiñ ne ḳhud ko Daale the nahīñ pahuñche
tū anjāne meñ jis ke pyaar se do-chār thī maiñ thā
mire khaliyān the dahqān the taqdīr thī tū thā
tirā zindān thā zanjīr thī jhankār thī maiñ thā
guzishta shab jo hasti bar-faraaz-e-dar thi main tha
phir agle din jo surKHi shaukat-e-aKHbar thi main tha
wahan kuchh log the ilzam the baqi andhera hai
bas itna yaad hai jallad tha talwar thi main tha
jahan taswir banwane ki KHatir log aate the
wahan pas-manzar-e-taswir jo diwar thi main tha
main apna sar na karta pesh ujrat mein to kya karta
tumhaari baat thi wo bhi sar-e-bazar thi main tha
ye viran surKH sayyare inhen dekhun to lagta hai
teri duniya mein jo chahkar thi mahkar thi main tha
KHafa mat ho mere badle wahan gul-dan rakh dena
tere kamre ki chizon mein jo shai bekar thi main tha
tumhaare KHat jo main ne KHud ko Dale the nahin pahunche
tu anjaane mein jis ke pyar se do-chaar thi main tha
mere khaliyan the dahqan the taqdir thi tu tha
tera zindan tha zanjir thi jhankar thi main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.