guzra hai is ada se kuchh jata hua ye sal bhi
guzrā hai is adā se kuchh jaatā huā ye saal bhī
dil ko ḳhushī ke saath saath hotā rahā malāl bhī
kitnī kaThin rasā.ī thī tere dayār tak mirī
dekhte hī jise pukārā tū use nikāl bhī
ham ko bulāo tum kisī roz kisī na.e nagar
gar ye nahīñ durust aa sakte ho sāhī-vall bhī
taalā lagā zabān par ḳhvāhish-e-vasl bhī ga.ī
pūchhe jo bazm-e-ġhair meñ aap hamārā haal bhī
vo bhī zamāna thā tū aa jaatā thā shab se peshtar
kaisī ye shab hai aaj aaya na tirā ḳhayāl bhī
mujh ko patā hai 'shobī' sab haal mire sitāroñ kā
ḳhalvatoñ meñ guzarnā hai aatā huā ye saal bhī
guzra hai is ada se kuchh jata hua ye sal bhi
dil ko KHushi ke sath sath hota raha malal bhi
kitni kaThin rasai thi tere dayar tak meri
dekhte hi jise pukara tu use nikal bhi
hum ko bulao tum kisi roz kisi nae nagar
gar ye nahin durust aa sakte ho sahi-wall bhi
tala laga zaban par KHwahish-e-wasl bhi gai
puchhe jo bazm-e-ghair mein aap hamara haal bhi
wo bhi zamana tha tu aa jata tha shab se peshtar
kaisi ye shab hai aaj aaya na tera KHayal bhi
mujh ko pata hai 'shobi' sab haal mere sitaron ka
KHalwaton mein guzarna hai aata hua ye sal bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.