guzra udasiyon mein hi jiwan tamam hai
guzrā udāsiyoñ meñ hī jīvan tamām hai
lab par hamāre phir bhī tumhārā hī naam hai
tere baġhair ham se hai mausam ḳhafā ḳhafā
ḳhāmoshiyoñ ko oḌhe hue baiThī shaam hai
majbūriyoñ kī jail meñ hai qaid vo kahīñ
varna to mere pyaar ko kartā salām hai
tere sivā.e dil meñ kisī kā guzar nahīñ
yādoñ ne terī aisā kiyā intizām hai
ashkoñ kī raushnā.ī se maiñ ne hai jo likhā
chhāyā har ek dil pe 'sikhar' vo kalām hai
guzra udasiyon mein hi jiwan tamam hai
lab par hamare phir bhi tumhaara hi nam hai
tere baghair hum se hai mausam KHafa KHafa
KHamoshiyon ko oDhe hue baiThi sham hai
majburiyon ki jail mein hai qaid wo kahin
warna to mere pyar ko karta salam hai
tere siwae dil mein kisi ka guzar nahin
yaadon ne teri aisa kiya intizam hai
ashkon ki raushnai se main ne hai jo likha
chhaya har ek dil pe 'sikhar' wo kalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.