guzre hain hum pe aise bhi lamhe kabhi kabhi
guzre haiñ ham pe aise bhī lamhe kabhī kabhī
dil ro paḌā hai sun ke latīfe kabhī kabhī
sahrā se tishnagī kā sabab pūchhte ho kyā
dariyā bhī ham ne dekhe haiñ pyāse kabhī kabhī
gum-karda rāh-e-zīst sahī is ke bāvajūd
pūchhe haiñ ham se ḳhizr ne raste kabhī kabhī
ai nā-ḳhudā-e-vaqt na itnā ġhurūr kar
Duube haiñ sāhiloñ pe safīne kabhī kabhī
har dil ko aap ā.ina-ḳhāna na jāniye
patthar se saḳht hote haiñ shīshe kabhī kabhī
'sumbul' huā hai ye bhī ki ġhazloñ ke ruup meñ
nāzil hue haiñ ham pe sahīfe kabhī kabhī
guzre hain hum pe aise bhi lamhe kabhi kabhi
dil ro paDa hai sun ke latife kabhi kabhi
sahra se tishnagi ka sabab puchhte ho kya
dariya bhi hum ne dekhe hain pyase kabhi kabhi
gum-karda rah-e-zist sahi is ke bawajud
puchhe hain hum se KHizr ne raste kabhi kabhi
ai na-KHuda-e-waqt na itna ghurur kar
Dube hain sahilon pe safine kabhi kabhi
har dil ko aap aaina-KHana na jaaniye
patthar se saKHt hote hain shishe kabhi kabhi
'sumbul' hua hai ye bhi ki ghazlon ke rup mein
nazil hue hain hum pe sahife kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.